Showing posts with label poetry hindi. Show all posts
Showing posts with label poetry hindi. Show all posts

Monday, October 17, 2016

Udhaar ki Nazre

Kitna khoobsurat hai ye safar, Kis nagar kis dagar,
Na jaana hai humne, na jaanenge kabhi,
Chalkengi palke kahin, To thahaake lagenge kahin,
Halke phulke mukaam bhi aayenge,
To jum kar aazmaishein bhi hongi,
Samet lena khushiyon ko,
Aur gamo ko, bojh ko, Karna dar guzar,
Khud ki nazron se na dikhe,
To lo koi aankehin udhaar,
Dekho har kisi ki nazron se,
Kabhi to, kahin to, Tum bhi kahoge,
Ki ji kitna khoobsurat hai ye safar!

... PUJA HADA

Tuesday, February 9, 2016

My second one...

suljhe suthre makamo se jab guzar rahi thi zindagi,
bachpanaa hi to tha wo jo sabhi nadaniyo ko uljhan samajhta tha,
ab jab uljhano se saamna ho raha hai to,
is dil ki nadani dekho wo dhundne chala hai
wo suthre suljhe makaam or woh hi bachpana!

... PUJA HADA

Thursday, December 17, 2015

My first one...

Zindagi rawa dawa toh thi,
Par khayal karu to nami na sahi par kami fir bhi thi,
Dil ne mujhse kuch khaas kaha na tha kabhi,
Jab tak kisi ne is dil se baatein ki na thi,
Ab jo dilo mein baatein ho rahi hai to karawan aisa sa chal pada hai,
Ki kehne lage hai wo agar baat nikali hai to door talak jaegi!

... PUJA HADA